Ashtray: August 2006

Monday, August 07, 2006

Long time no nothing..!!

Aagaaz to hotaa hai anjaam naheen hotaa
jab meri kahaani mein vo naam naheen hotaa

[aaGaaz = start; anjaam = end/result]

Jab zulf kii kaalikh mein ghul jaaye koi raahi
badnaam sahii lekin gumnaam naheen hotaa


Hans hans ke javaan dil ke ham kyon na chunein tukde
har shakhs kii qismat mein inaam nahiin hotaa

Bahate hue aansoon ne aankhon se kahaa tham kar
jo mai se pighal jaaye vo jaam naheen hotaa

Din doobe hai yaa doobi baaraat liye kashtii
saahil pe magar koii kohraam nahiin hotaa